ab thakan bardast na hoti
ab aur chala na jaata.
bojhil bojhil kadmon se maine
kitna lamba rasta kaata.
mujhe ab paas bulalo papa..
yaad hai aata nadi kinara
aur ghar ka lamba haata.
budhi dadi, ammi, bhai
aur pados k hasmukh kaka.
mujhe ab paas bulalo papa..
yahan khud se rooth hoon leta
aur phir khud ko hi manata.
akelapan bardast na hota
ghar bahut yaad hai [...]
